Jab Koi Khayal Dil Se Takrata Hai
Dil Na Chah Ker Bhi Khamosh Ho Jata Hai
Koi Sab Kuch Keh Ker Dosti Jatata Hai,
To Koi Kuch Na Keh K Dosti Nibhata Hai…
Andhere Main Rasta Banana Mushkil Hota Hai
Tufan Main Dipak Jalana Mushkil Hota Hai
Dosti Kisi Se Bhi Karna Mushkil Nahi
Magar Ise Nibhana Bada Mushkil Hota Hai
Hum Woh Phool Hain Jo Roz Roz NahiKhiltay
Yeh Wo Hont Hain Jo Kabhi Nahin Siltay
Hum Se Bichro Ge To Ehsas Hoga Tumhain
Hum Wo Dost Hain Jo Roz Roz Nahin Miltay
Zindagi K Tufano Ka Sahil Hai Teri Dosti
Dil Ke Armaano Ki Manzil Hai Teri Dosti
Zindagi Bhi Ban Jayegi Apni To Jannat
Agar Maut Aane Tak Sath De Teri Dosti…
Kyun mushkilon mein saath dete hain dost
Kyun gham ko baant lete hain dost
Na rishta khoon ka na riwaaz se bandha
Phir bhi zindagi bhar saath dete hain dost!
Doston ki dosti hamain raas bahut Aai,
zindagi hamari khuli kitaab najar Aai,
sb padh liye sabak us kitaab mai se,
zindagi mai Mout ki, Aadhuri pyaas najar Aai